Sunday, October 30, 2011

utar jata hai

jaise chadhti hui nadi ka jwaar utar jata hai .
kaisaa bhi ho nasha aikdin yaar utar jata hai.
maana maine lafz chhuri se bhi paina hota hai,
lekin har chaakoo ka dekha dhaar utar jata hai.
bade safine doob gaye par aik aadmi dariyaa men,
ik tinke ka liye sahaara paar utar jata hai.
tanhaa yun to bojh gamon ka bahut bada lagta hai,
lekin paakar saath kisi ka bhaar utar jata hai.
bajti hui surili veena bahut sukun deti hai,
mushkil to tab hoti hai jab taar utar jata hai.
chadhta nahin dubaara chaahe kitni bhi koshish ho ,
shakhs kisi ki najron se ik baar utar jata hai.

No comments:

Post a Comment